Sunday, July 24, 2011

tammana tammana hai... umr ke sath samajhdar ho jaegi
















in chotee chotee ankhon mein
un gudde gudiya ki shadi ke khel se
ek guzarish si ban uthi thi
ki koi gudda mere liye bhi aega
in hathon ko thamega

guzarish yun jawaan hui
aur kehne lagi
ki aisa koi ae
jiske hone se muskurahat chehre par aise ae
ki wo chehre ko kahe
'dekh main to yahin rahungi, tujhe jo karna hai kar'

socha tha aisa bhi ho
ki uski ek nazar se
sharm ki lali
rang jae galon ko chahat ke rang me
par na wo nazar mili
na in galon pe wo noor aya
aur na wo ae

tammanna thi ki pyar hoga
ankhon mein usi ke khwab honge
raton ki neend yunhi hawa ho jaegi
raton ki neend to haram hui
par tanhaae ke khamosh lamhon mein

ek guzarish aisi bhi thi
ki dam todein gar
to unki bahon mein ho
ab ye hal hai
na bahein hain..
aur maut ne bhi dhokha de rakha hai

intezar to hai magar
zehen me yehi bat chal kar ati hai
ki tammanna tammanna hai
umr ke sath samajhdar ho jaegi.

1 comment:

reshu said...

Very true...n cud relate to it :)